शुक्रवार, 23 अक्तूबर 2015

कोई दिवाना कहता है।।

Specialy Dedicated To My Favs Avinash Bhaiya


Koi Deewana Kehta Hai (complete) - Dr. Kumar Vishwas

Koi deewana kehta hai koi pagal samjhta hai…
magar dharti ki bechaini ko bas badal samjhta hain…
Main tujhse dur kaisa hu, tu mujhse dur kaisi hai…
Yeh tera dil samjhta hai, ya mera dil samjhta hai…

Ke mohobbat ek ehsaason ki paawan si kahaani hai…
kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hai…
Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aasu hain…
Jo tu samjhe toh moti hain jo na samjhe toh paani hain…

Samandar peer ke andar hain lekin ro nahi sakta…
Yeh aansu pyaar ke moti hain isko kho nahi sakta…
Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le…
Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta…

Bhraman koi kumudni par machal baitha toh hungama…
Jo apne dil mein koi khwaab pal baitha toh hungama…
Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohobbat ka…
Main kisse ko hakikat mein badal baitha toh hungama…

Mai jab bhi tez chalta hu, nazare chhoot jaate hain...
Koi jo roop dharta hu, to saanche toot jaate hain...
Mai rota hu to aakar log kandha thap-thapate hain...
Main hasta hu to musjhse log aksar rooth jaate hain...

Mera apna tajurba hai, tumhe batla raha hu mai...
Koi lab chhu gaya tha tab, ke ab tak gaa raha hu mai...
Bichad kar tumse ab kaise jiya jaye bina tadpe...
Jo mai khud hi nahi samjha wahi samjha raha hu mai...

Kisi pathar mei moorat hai, koi pathar ki moorat hai...
Lo hum ne dekh li duniya, jo itni khubsurat hai...
Zamana apni samjhe par mujhe apni khabar ye hai...
Tujhe meri zarurat hai mujhe teri zarurat hai...

Bahut Bikhra Bahut Toota, Thapede Seh Nahi Paaya...
Hawaaon Ke Ishaaron Par, Magar Main Beh Nahi Paaya...
Adhoora AnSuna Hi Reh Gaya Yoon Pyaar Ka Kissa...
Kabhi Tum Sun Nahi Paaye, Kabhi Main Keh Nahin Paaya...

Ke Nazar Mein Shokhiyan Labb Par Mohabbat Ka Taraanaa Hai...
Meri Ummeed Ki Zadd Mein Abhi Saaraa Zamaana Hai...
Kayi Jeete Hain Dil Ke Desh Par Maaloom Hai Mujhko...
Sikandar Hoon Mujhe Ik Roz Khali Haath Jaana Hai...

Main Uska Hun, Wo Is Ehsaas Se inkaar Karta Hai...
Bhari Mehfil Mein Bhi Ruswaa Mujhe Har Baar Karta Hai...
Yakin Hai Saari Duniya Ko Khafa Hai Mujhse Woh Lekin...
Mujhe Maaloom Hai Phir Bhi Mujhi Se Pyaar Karta Hai...

Saji Hai Khushnuma Mehfil Sabhi Dildaar Bethe Hain...
Jidhar Dekho Udhar Hi Ishq Ke Bimar Bethe Hain...
Hanseeno Ki Adaaon Pe Sabhi Dil Haar Bethe Hain...
Hazaron Mar-Mite Aur Sainkron Tayyaar Bethe Hain...

Na Paane Ki Khushi Hai Kuch Na Khone Ka Hi Kuch Gham Hai...
Yeh Daulat Aur Shohrat Sirf Kuch Zakhmon Ka Marham Hai...
Adab Si Kashmkash Hai Roz Jeene Roz Marne Mein...
Mukammal Zindagi To Hai Magar Puri Se Kuch Kam Hai...

Ke Badalne Ko To In Ankhon Ke Manzar Kam Nahin Badle...
Tumhari Yaad Ke Mausum Humare Gham Nahin Badle...
Tum Agle Janm Mein Humse Milogi Tab To Manogi...
Zamane Aur Sadi Ki Is Badal Mein Hum Nahin Badle...

Girebaan Chak Karna Kya Hai Seena Aur Mushkil Hai...
Har Ik Pal Muskura Kar Ashkk Peena Aur Mushkil Hai...
Humari Badnaseebi Ne Humein Itna Seekhaya Hai...
Kisi Ke Ishq Mein Marne Se Jeena Aur Mushkil Hai...

Koi Khamosh Hai Itna Bahane Bhool Aya Hoon...
Kisi Ik Tarannum Mein Tarane Bhool Aya Hoon...
Meri Ab Rah Mat Takna Kabhi Ae Aasmaan Waalon...
Main Ik Chidiya Ki Aankhon Mein Udaane Bhool Aya Hoon...

Pukare Aankh Mein Chad Kar To Khoon Ko Khoon Samajhta Hai...
Andhera Kisko Kehte Hain Ye Bas Jugnu Samajhta Hai...
Humein To Chand Taaron Mein Bhi Tera Roop Dikhta Hai...
Mohabbat Mein Numaish Ko Adaayein Tu Samajhta Hai...

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें